Aaj kal main bara farigh hoon aur Shehzad roy ke ganay sun raha hoon, uska naya album “Buri Baat Hay..” aik dum anth hay, agar abhee tak suna naheen to ab sun lo here is the link.
the best song in this album agar mujh se poocha jaaye to its Yaad..
mujhay ayesha ne bataya ke yeh Parveen Shakir ki ghazal hay jissay Shehzad roy ne gungunaya hay.. to bhai kia ANTH gungunaya hay..
iska aur song Navy, aaj tak Navy ke baray main specifically koi song naheen gaya gia tha isliye yeh song aik exception ban ke samnay aaya hay aur maano na maano I really love this song..
Aik song Shola.. Aha kia song hay.. jo mujhay samajh main aaya woh kuch yeh hay ke yeh song un loagon keliye hay jo 17-18 saal ke dauraan opposite gender ki taraf infatuation ya attraction ko love kahte hain.. its too tight.. aur mujhay apna zamana yaad aagaya lol
aur Aankhain toooooooo aankhain hain.. inko sapnay na do.. wah jee wah kia baat hay yeh bhee kisi ki ghazal hay waise.. kiski pata naheen per Sooooper hay
aur aapne indian film koi aap sa ka trailor to dekha hee hoga.. indians main lagta hay saree sharm-o-haya khatam hogayee hay.. i mean whats that “he is not my friend, he is not EVEN my husband.. but he is father of my son” WHAT THE HELL,
and iske ilawa Salaam-Namaste urgh why do they involve muslims in such stupid ideas? i mean they could have used christian girl WHY MUSLIM!!
Geo pe The Message dekhee bohat sukoon mila dekh ke.. ayesha kahtee hay ke yeh ghalat hay aur hamain naheen dekhnee chahiye.. phir shayad hamain No Entry dekhnee chahiye.. lol
films aur songs ke ilawa mere paas koi kaam naheen thats explains the title
farigh insaan ke mashgalay..
ab yeh mat poochna ke yeh sab maine Roman urdu main kion likha hay kionke har banday ke apnay preferences hotay hain.. so i prefer roman urdu.. takay win98 walay aqalmand bhee meree poori post parh ke apnay precious panch se das minute zaya kar sakain..
yeh post likhne main mera bhee bohat time zaya howa.. magar main aaj kal farigh hon to mujhay to koi fark naheen parta lol
blah blah introduction ki zaroorat mehsoos howee to do teen maheene baad dedoonga.. filhaal keliye Bye bye
Take Cares if you want to.. i really dont care about it,
Allah Hafiz
-SK